Showing posts with label Aaj Jaane ki Zidd Na Karo. Show all posts
Showing posts with label Aaj Jaane ki Zidd Na Karo. Show all posts

Monday, December 12, 2011

Aaj Jaane ki Zidd Na Karo...


An all time favourite ghazal- Aaj jaane ki zid na karo
can't get the damn tune out of my head! ;)
Written by poet and lyricist Fayyaz Hashmi, and sung by many singers over the years...sharing some of my favourite versions... Go get intoxicated! xD


Aaj jaane ki zidd na karo
Yu hi pehlu mein bethey raho
Haaye mar jaayenge
Hum to lutt jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zidd na karo..



Tum hi socho zara
kyu na rokein tumhe  
jaan jaati hai jab uth ke jaatey ho tum
tum ko apni qasam jaan-e-jaan
baat itni meri maan lo  
Aaj jaane ki zidd na karo..

Waqt ki qaed mein zindagi hai magar
chand ghadiyaan yahi hain jo aazaad hain
inko kho kar kahin jaan-e-jaan
umr bhar na tarastey raho
Aaj jaane ki zidd na karo 

Kitna masoom rangeen hai yeh sama
husn aur ishq ki aaj mein-raj hai
kal ki kis ko khabar jaan-e-jaan
rok lo aaj ki raat ko  
Aaj jaane ki zidd na karo...


sung by Farida Khanum

sung by Asha Bhosle

by Shankar Tucker ft. Rohini Ravada


by Ramya Iyer and Rupmatii Jolly at Coke Studio,India