An all time favourite ghazal- Aaj jaane ki zid na karo
can't get the damn tune out of my head! ;)
Written by poet and lyricist Fayyaz Hashmi, and sung by many singers over the years...sharing some of my favourite versions... Go get intoxicated! xD
Aaj jaane ki zidd na karo
Yu hi pehlu mein bethey raho
Haaye mar jaayenge
Hum to lutt jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zidd na karo..
Tum hi socho zara
kyu na rokein tumhe
jaan jaati hai jab uth ke jaatey ho tum
tum ko apni qasam jaan-e-jaan
baat itni meri maan lo
Aaj jaane ki zidd na karo..
Waqt ki qaed mein zindagi hai magar
chand ghadiyaan yahi hain jo aazaad hain
inko kho kar kahin jaan-e-jaan
umr bhar na tarastey raho
Aaj jaane ki zidd na karo
Kitna masoom rangeen hai yeh sama
husn aur ishq ki aaj mein-raj hai
kal ki kis ko khabar jaan-e-jaan
rok lo aaj ki raat ko
Aaj jaane ki zidd na karo...
sung by Farida Khanum
sung by Asha Bhosle
Babe, you missed the original by Begun akhtar.
ReplyDeleteLOVE THIS SONG!!
i think the original is by farida khanum! :O but i will check and get beck to you! :P
ReplyDelete