Wednesday, May 7, 2014

Weaver

Entangling myself in your intricately woven tapestries.
I dance, dancing the thousand dances of your woeful love
Patiently waiting for the yarn to make me feel its softness and lightness of being.
The paroxysms of your rage making me giddy
I translate the dizziness as I swirl the strokes of my brush to create daubs you'll never forget.
With it I whirl, not waiting to be held by you or anyone
Not wanting to be untangled or untied.
Come join me
Weave me

Tuesday, May 6, 2014

Free Bird

Felt like sharing an old poem written ages ago, learning the meaning of Freedom. (still)

As I glide into this endless sea of sky
reaching heights unknown so far..
Deep down..deep deep down..
A fear consumes me
I see a door... Ajar
I know not if i'll enter it..
But.. if i do... I'll run... RUN Afar...

Azaad Parindah (Free Bird)

Vo bikhre hue pankh sahej raha tha,
Vo udne ke khwab dekh raha tha...

Uda tha apne ashiyaan se, un hawayon ke kaafile main
Par na jaane kiske ishaare pe umad aaye badal..
Naye thikaane ki khoj main,
Vo bikhre hue pankh sahej raha tha,
Vo udne ke khwab dekh raha tha...

Fudakte, udte vo fizaayon main jhul raha tha.. paalne ke samaan
Na jaane kahan se hawa ka rukh badla, thi ek dhalaan..
Hairaan, pareshaan, is dauraan...
Vo bikhre hue pankh sahej raha tha,
Vo udne ke khwab dekh raha tha...

Tez raftaar se, far-farata hua ... dikha raha tha apna hunar us shaam
Par na jaane kis shakhs ne bejha tha vah dard-e teer ka paighaam..
Marham lagate hue...
Vo bikhre hue pankh sahej raha tha,
Vo udne ke khwab dekh raha tha...

Sabse paar , safar ki doori tay kar, apne aakhon ke tej par tha use be-panah guroor
Par ittifak se, vah teer cheer gaya uski aankh .. pal main chhin gaya uska noor..
Zillat bhare ehsaas se..
Vo bikhre hue pankh sahej raha tha,
Vo udne ke khwab dekh raha tha...

Unchaai se gir raha tha..... vah zakhmi..
Kisi bhi tarah pair na chhue zameen..kaash ke bacha le koi kagaz ki hi kashti..
Isi hasrat main..
Vo bikhre hue pankh sahej raha tha,
Vo udne ke khwab dekh raha tha...

Girte , behekte vah isi khayal main
Insaaniyat ke fareyb ke gehre savaal main...
Zehn main hiddat... jalte hue...
Vo bikhre hue pankh sahej raha tha,
Vo udne ke khwab dekh raha tha...

Tabhi saamne..., udti.., bohot unchi patang par padi ek nazar
Tut gayi thi jiski dor.., Aainah tha vo uska.., is manzar par
Un ashkon ko pirote hue..
Vo bikhre hue pankh sahej raha tha,
Vo udne ke khwab dekh raha tha...

'Jis kafir pe dum nikla' tha uska , hua be-aabru
Usi ki khwaish main, ab khoya apna astitva, tha na-maloom..
khokar apne hosh-o-hawas
Ek naye kaarvaan, ek nayi takdir ki firak main..
Vo bikhre hue pankh sahej raha tha,
Vo udne ke khwab dekh raha tha...

Vo ek ajnabee ko apni dastaan suna raha tha..
Vo bikhre hue pankh sahej raha tha,
Vo udana sikha raha tha...

9.12.09