Wednesday, October 8, 2014

Word

Sharing some beautiful poetry put to music i heard recently. Stuck again. Enjoy

Did you mean what you said,
Did you say what you meant.
Did the words that you meant,
Were the words that you said.
What you meant was it less,
Was it true what you said.

Did the words that he said,
Flip the words that you said.
And when he change what he said,
Did that change what you meant.
And did it hurt when he heard,
By the words that you said.
- Sudhir Mishra



Lafz

​Khamoshiyaan awaaz hai, lafzon mein bas inkaar hai

Lafzon ne chuna, lafzon ne buna, jo bhi humne kaha, jo bhi humne suna

na humein ilm hai, na tumhe hai pata, jaane ho kab kahan, lafzon se khata

lafzon mein rawaan kuch kahi ansuna, lafzon mein bayaan kuch kahi ankaha

dil pe jaane kahan ghaav koi laga, lafz hi de gaye lafzon ko daga

khamoshiyaan awaaz hai, lafzon mein bas inkaar hai


Raaz hai sainkadon, lafson ke dher mein, maaene ho judaa lafzon ke pher mein

Lafz laate kabhi aise bhi mod pe, sab chale jaate hai jab humein chodke

Lafz hi lafz mein baat ban jaati hai, Lafz hi lafz mein baat tha​m​ jaati hai

Kuch bhi socha nahi lafzon mein beh gaye, kehna tha kuch humein aur kuch keh gaye

Khamoshiyaan awaaz hai, lafzon mein bas inkaar hai
- Sameer Anjaan


2 comments:

  1. Namaste sister Bani; very interesting poetry, thanks for sharing. I hope you have enjoyed a wonderful week, all the best to you and your family.

    In Lak' ech prosper with truth..... live with love....

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank you for stopping by! wishing the same for you :)

      Delete