Tuesday, September 2, 2014

Ek Nazraana

Ek Nazraana

aaj khud ke saat saal puraane chitron main jhaank kar ek khyaal aya
ki nazraana tumne pesh kiya tha ya maine?
ki nazraana aaj tumne wasool kar liya...

tumne dikha diya tha vo jise main khoj rahi thi
vo- jise main, na chahte hue bhi kar paati
vo- jise maine tumhare saath ek hi pal main sahej liya tha.

nazraana jala ho ya chhoot gaya ho, rahega toh nazraana hi
ki jis tarah tumhare alfaas rengte hain in sapnon main
ki jis tarah tumhare vaade ubhar rahe hain in havayon main.

tumhe bhooja toh hoga is doori main
ki nazraana na diya tha na liya tha
ki nazraana - nazraana na tha
tumhara tark fasaana na tha
zindagi thi tumhari aur meri.
ek phalsaphy thi
bas ek nazaraana.